Ek Din Achanak Part 24
Yahi time tha jab Jay and party ko apni tayyari ko amal mein lana tha. Is team mein Jay, Jawed aur Manish bas ye teen hi dost the. Sab pahunch gaye Sonali ke ghar par. Do motorcycle ka intezam bhi kar liya tha sab doston ne. Manish andar chala gaya kyunki Jassi ki behan use chahti thi aur wo invited thi shaadi mein isliye koi dikkat nahin huyi. Usne jaakar sab samjha diya Jassi ki behan ko. Ye sunkar wo dar gayi aur mana karne lagi lekin jab poori hakikat use pata lagi to wo bhi risk lene ko tayyar ho gayi. Halanki dar ab bhi lag raha tha use lekin bas apne pyaar ke liye wo raazi huyi thi.
Lekin jaisa Jawed Bhai ne bataya sab dost nausikhiya the, unmein poori tarah maturity nahin aayi thi aur Jay to is samay bilkul paagal tha Sonali ko saath le jaane ke liye. Idhar mauka dekhkar Jab Sonali kamre mein akeli huyi Jassi ki behan ne Manish ko ishara kar diya aur Manish ne bahar aakar Jay ko ye khabar de di. Ab in doston ki akal to dekho kamre ki peeche ki deewar par charkar khidki ke raaste kamre ke andar jaane ka faisla liya tha sabne aur iske liye seedhi ka bhi intezam kiya hua tha.
Bas seedhi lagayi aur chad gaya Jay us par. Lekin haye ri kismet barat wahan pahunch chuki thi aur jaisa ki aap jaante hain ki kai baarati baraat pahunchne se pehle hi vivah sthal par pahunch jaate hain aur kha-peekar lifafa pakdakar wapas chale jaate hain. Unmein se koi laghu-shanka nivaran hetu peeche ki taraf aaya hua tha to usne Jay ko andar chadte huye dekha. Dusra nuksaan ye huya ki wo Sameer ka dost nikla aur usne turant jaakar ye baat Sameer ko bata di.
Sameer ko to yakeen hi nahin huya. Wo samajh to gaya tha ki andar jaane wala ladka Jay hai lekin Sonali ne use jo bataya tha usse to yahi lagta tha Sonali ne Jay ko bhula diya hai lekin aaj agar Jay yahan aaya hai to jaroor koi na koi baat hai. Sonali ne mujhse jhoot bola. Uska abhi tak chakkar chal raha hai is Jay se. Baarat pahunchte hi ghodi se utarne ke baad Sameer ne ye baat apne parents ko bata di. Sab hairan aur gusse mein bhar gaye. Sameer ke papa ne turant jaakar is baat ka pata lagane ke liye Sonali ke papa se baat karni chahi. Jab unhone ye baat Sonali ke parents ko batayi to jaise dono ke pairon se jameen nikal gayi ho aisa laga.
Sonali ke parents ne kaha “Nahin ye jhoot hai. Sonali aisa nahin kar sakti”
“Agar hum jhoot keh rahe hain to chalo abhi Sonali ke kamre mein. Wo ladka abhi wahin hain. Sab dhoodh ka dhoodh aur pani ka pani ho jayega” Sab lagbhag bhagte huye Sonali ke kamre ki taraf chal diye.
Idhar Jay khidki se kood kar Sonali ke kamre mein pahunch gaya tha. Sonali kamre mein bed par baithi huyi thi. Haathon mein mehandi, poora saj sringar, haathon mein chudiyan, aisa lag raha tha jaise swarg se koi apsara jameen par utar aayi ho. Jay to bas ektak Sonali ko niharta raha. Wok ho gaya tha uske saundarya mein aur shayad khota rehta agar Sonali use dekh kar chaunk na jaati aur use awaaz na deti.
“Jay tum yahan kya kar rahe ho”
Jay jaise neend se jaaga aur bola “Sonali mein tumhe lene aaya hun. Ghabrao mat, sab tayyari ho chuki hai. Neeche sab dost tayyar hain. Chalo jaldi chalo”
“Tum paagal to nahin ho gaye ho. Mere parents ki ijaat ka kya hoga”
“Aur meri jindagi ka kya hoga jo tumhare bina adhuri hai. Hum ek doosre ko bepanah pyaar karte hain aur jee nahin sakte ek doosre ke bina”
“Main tumse pyaar nahin karti” Sonali ne ek saans mein ye bol diya aura b wo ajaadi si feel kar rahi thi jaise pata nahin kab se wo kisi pinjare mein band thi.
Jay ki halat to jal bin machli jaisi ho gayi thi. Wo ruwansi awaaz mein bola “Sonali pls aisa majak mat karo. Main mar jaunga”
“Jay samajhne ki koshish karo. Jo kuch bhi hamare beech huya wo pyaar nahin ek akarshan tha jo samay beette beette khatam bhi ho gaya hai. Ab main apna parivar basane ja rahi hoon. Kya tum chahte ho ki meri khushiyan jalkar khaakh ho jayen”
“Aur jo mere saath jeene marne ki kasmein khayi thi unka kya”
“Wo to bas bhawnayon mein behkar bol diya tha. Bhool jao sab purani baatein”
“Kitna asaan hai kehna tumhare liye ye sab. Mera dil hi jaanta hai ki is par kya gujar rahi hai. Sahi kaha hai kisi ne ki ladkiyon ka to khel hai dilon se khelna, kab kaun sa khilona haath mein lele aur kab kaun sa khilona tod de ye koi bhi nahin jaan sakta. Tum khus raho apni nayi duniya mein. Main jaa raha hun aur aaj ke baad tumhe kabhi apni shakal nahin dikhaunga”
Sonali ka man to khushi se jhoom raha tha ki Jay itni asaani se maan jayega use yakeen nahin tha. Lekin fir bhi serious chehra bana kar kaha “Tum mujhe bhool jana aur kisi achhi ladki se shaadi kar lena.”
Tabhi darwaje par dastak huyi aur isi ke saath Sonali ki mummy ki awaaz aayi “Sonali darwaza kholna jara”
“Jay tum jaldi se jao yahan se. Mummy darwaja par hain”
Jay ne ek aakhiri baar aansuon se bhari aankhon se dekha Sonali ka chehra aur dil ke hajar tukdo ko samette huye seedhi se neeche utarne laga.”
Sonali ne Jay ke neeche utarte hi darwaza khol diya to sab kamre ke andar dakhil ho gaye. Sameer bhi aa gaya tha andar. Sabne poora karma chan maara lekin kuch pata nahin chala. Tabhi Sameer ki najar khidki par padi jo khuli huyi thi. Sameer turant khidki par gaya aur neeche jhaanka to use khidki se lagi huyi seedhi aur motorcycle par baithe huye teen bande dikhayi diye.
Sameer ne sabko is baare mein bataya to sabne wahan pahunch kar dekha. Sonali ke papa ne poocha “Kaun tha ye ladka”
“Mujhe nahin pata ye kaun tha” Sonali ne jhoot bol diya fir se.
Sameer aur jyada gusse mein aa gaya aur bola “Tu jhoot bole hai. Yo Jay tha thara aashiq”
Sonali ka chehra to peela pad gaya tha. Use bahut samjhane ki koshish kari ki Jay se uska ab koi lena dena nahin hai lekin sabut is or ishara kar rahe the ki Sonali jhoot bol rahi hai. Tabhi sabko jaise ek bomb ka saamna karna pada.
“Manne Sonali gail byaan na karna ib”
“Nahin Sameer bête. Aisa mat kaho. Main kisi ko muh dikhane layak nahin rahunga agar baarat wapas chali gayi to. Meri ijaat mitti mein mil jayegi”
“Uncle thari ijjat ke liye main apni jindagi barbad na kar sakun”
Kaafi manuhar karne ke baad bhi Sameer ya uske gharwale nahin mane. Sameer gusse mein lal-peela hote huye wahan se chala gaya. Sahib hi tha kyunki koi bhi khuddar insaan dhokha bardasht nahin karega. Sonali ke parents ki halat to aisi ho gayi thi ki jaise unki poori jindagi ki jama punji chali gayi ho. Aur ye sahi bhi tha kyunki ijjat hi sabse badi jama-punji hoti hai.
Dheere dheere sab kareebi rishtedaro ko baat ka pata chal gaya. Sonali ke papa ka chehra chintaon se bhara huya tha aur Sonali ki mummy ka ro ro kar bura haal tha. Beech beech mein kai baar Sonali ko galiyan bhi nikal chuki thi aur uspar haath bhi utha chuki thi. Sonali ke papa ne udas man se kaha “Sab tabah ho gaya hai. Is ladki ne humein kahin ka nahin choda. Ab kaun karega isse shaadi”
"Main karunga Sonali se shaadi" Ye awaaz sunte hi sab chaunk uthe aur peeche ghoom kar dekhne lage.
To be continued....
Kareem
13-Jan-2022 08:32 PM
Great
Reply
Swati chourasia
12-Oct-2021 07:33 PM
Very nice 👌
Reply
Shalini Sharma
30-Sep-2021 07:16 PM
Nice
Reply